Formal Bank Prarthna Patra

Bank Application Generator (Hindi & English)

ATM Card, Mobile Number Update, New Passbook, KYC Update aur Account Transfer ke liye formal bank application letter 1 click me banayein aur print karein.

Application Form

Live Official Letter Preview
Standard Bank Branch Format

Bank Application Writing Guide for Cyber Cafe & CSC Centers

Bank me aavedan patra (application) likhne ke standard niyam, zaroori documents aur prarthna patra formats.

Bank Application me Jaruri Batein:

Bank manager ko aavedan likhte samay bhasha vinamra aur tathyon par aadharit honi chahiye. Patra me sabse upar सेवा में / To, uske baad शाखा प्रबंधक / The Branch Manager, Bank ka Naam aur Branch ka pata likha jata hai.

विषय (Subject): Vishey ek line me bilkul saaf hona chahiye taaki clerk ko samajh aa sake ki aavedan kis karyawahi ke liye hai (jaise: 'एटीएम कार्ड जारी करने हेतु' ya 'मोबाइल नंबर लिंक कराने बाबत').

Zaroori Attachments:

  • Aadhaar Card Copy: Self-attested photo copy.
  • PAN Card Copy: Tax/Identity proof.
  • Passbook Front Page: Account verification.

Common Banking Applications Supported:

  1. Mobile Number Link / Update: OTP aur SMS alerts prapt karne ke liye.
  2. New ATM Card Issue: Expired ya gum hue ATM ki jagah naya chip card lene ke liye.
  3. Passbook Kho Jane par: Purani passbook bhar jane ya kho jane par duplicate passbook application.
  4. KYC Re-activation: Dormant ya in-operative account ko dobara chalu karwane ke liye.

VLE Help:

Cyber cafe par roz gaon ke log bank application likhwane aate hain. Hamara tool 10 second me unka account number daal kar print nikal deta hai jisse VLE ka time bachta hai.

Frequently Asked Questions (FAQ)

Q: Kya ye application SBI, PNB, Bank of Baroda sabhi me chalegi?

Ji haan! Ye Indian Banking association ke standard format me hai jo State Bank of India, Punjab National Bank, Bank of Baroda, Canara Bank aur sabhi Grameen banko me manikrit hai.

Q: Application ke sath sign kahan karna hota hai?

Neeche 'भवदीय / Yours faithfully' ke upar wahi signature karein jo bank passbook ya account opening form me kiya gaya tha.